mae janta hu ki rajiv sir politics me nahi aana chahte the..,
mene do din phle bhai ji k lecture sunna chalu kiye hai,
kargil war k baare me unhone jo bhi sach btaya tha,
janke afsos hua ki kaise america pakistan ka dost bane reh kar hmara use kar raha hai,
aur mjhe pta nhi tha ki bhaiji ka swargwas ho gaya hai,
bhai ji k lecture sunne k bad mene unke baare me janna chaha tb mjhe pta chla jise dekh kar mje bhot dukh hua,
mae bas ye kehna chahta hu agar hum bhaiji ka sapna swadeshi bharat sakar karna chahte hai to hume satta me aana he pdega.. aur bhot sare logo ko ikhatta krna pdega.. aur rajyo ko ikhatta krna pdega sarkar bnakar dusri sarkaro se aage nikalkar bharat ko swadeshi hum tab he bna paaenge.. lekin isme bhot samay lgega ye sab jante hai magar bhaiji ka sapna swadeshi bharat ek din jrur pura hoga
bhaiji k chahne wale itne sare hai ki agar bhaiji ki swadeshibharat sarkar bnayi jaye to jeet hasil hogi he hogi.
aur agar swadeshibharat sarkar ko agar manjuri nhi bhi milti hai to AAP sarkar ka samarthan leke hum bhaiji ko aage bdha skte hai..
lekin kisi bhi tarah aap sarkar me aao (pradeep dixit bhai) aur jo hum sbka uddeshaya hai swadeshibharat ise na bhulte hue , is sapne ko leke chlte hue hum sarkar bnate jaenge, kyuki in kale angrezo ko sudharne ka ek ye he upay hai, aur rajiv bhai khud b kaha krte the ki jahar ko jahar he katt ta hai, lohe ko loha, to thik wese he is videshi sarkar (congress) ko hmari swadeshi sarkar sahi kregi.
gore angrezo k lakshan is congress k wjah se he hai jbtk ye nhi jaegi tbtk hum kch nhi kar skte.. to sbse pehle inhe hatana bhot jruri hai..
bhaiji k naam se agar sarkar aaegi to sab khush honge unhe lgega ki bhaiji ab is desh me waps aa gaye hai.. aur tb akhir me hum pure bharat desh me swadeshi ki ghoshna karenge.. koi americi company koi bahar k lakshan yahan nhi honge.. sab swadeshi hoga.. aur humare bhaiji ka yeh sapna pura hoga.. tb jake bhaiji ki aatma ko shanti milegi
ye rasta galat hai hum sbko pta hai bhai ji bhi is raste pe nhi jana chahte the par galat ko sahi bnane k liye hume thode samay k liye galat hona he pdega.. meri request hai ki mera ye sandesh pradeep bhai tak jrura pahucha dena.. dhanyawad